Thursday, April 03, 2008

Miir Taqi Miir

You must have heard of the "Maine poocha chand se ke dekha hai kahin mera yaar sa haseen" from Hindi Movie ABDULLAH, sung by MOHAMMAD RAFI.
Later in the songe a line comes that says:
"Khoobsurati jo tune paayi,
lut gayi khuda ki bas khudaayi,
meer ke ghazal kahun tujhe main,
ya kahun khaiyyaam ki rubaayi"
Ever wondered why meer(or Miir)???

Mir (b. 1723 - d. 1810), whose original name was Mohammed Taqi and takhallus was Mir (sometimes also spelled as Meer Taqi Meer), often remembered as Khuda-e-Sukhan meaning God of poetry. His complete work, Kulliaat, consist of 6 diwans, containing 13,585 couplets comprising all kinds of poetic forms: ghazal, masnavi, qasida, rubai, mustezaad, satire, etc. Some of Mir's ghazals:



hastii apanii hubaab kii sii hai
ye numaaish saraab kii sii hai

naazukii us ke lab kii kyaa kahiye
pa.nkha.Dii ik gulaab kii sii hai

baar baar us ke dar pe jaataa huu.N
haalaat ab iztiraab kii sii hai

mai.n jo bolaa kahaa ke ye aawaaz
usii Khaana-Kharaab kii sii hai

'Meer' un niim-baaz aa.Nkho.n me.n
saarii mastii sharaab kii sii hai

[hubaab = bubble; saraab = illusion, mirage; iztiraab = anxiety;
khana-kharaab = wretched person; niim-baaz = half open;]


In words of Ghalib,
Rekhta ke tumhi ustaad nahi ho 'Ghalib'
Kehte hain agle zamane me koi 'Meer' bhi thaa !!

'meer' ke she'r kaa aahvaal kahu kyaa 'Ghalib'
jis kaa diivaan kam az-gulshan-e kashmiir nahi



kyaa kahuu.N tum se mai.n ke kyaa hai ishq
jaa.N kaa rog hai, balaa hai ishq

ishq hii ishq hai jahaa.N dekho
saare aalam me.n bhar rahaa hai ishq

ishq maashuuq ishq aashiq hai
yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq

ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin
kahii.n ba.ndaa kahii.n Khudaa hai ishq

kaun maqsad ko ishq bin pahu.Nchaa
aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq

koyii Khvaahan nahii.n mohabbat kaa
tuu kahe jins-e-naa-rawaa hai ishq

Meer ji zard hote jaate hai.n
kyaa kahii.n tum ne bhii kiyaa hai ishq?

[Rekhta = Urdu; Mubtala = Embroiled In; taeen = Ordain; khwaahan = Whether;
Jins-e-naarawaa = Kind/thing of not being right/lawfull; Zard = yellow, pale;]


In Lata Mangeshkar's voice "Dikhai Diye Yoon Ke Bekhud Kiya" from Hindi movie Bazaar(1982) is a very beautiful songs that is very famous among old hindi-oldies-listeners. It's a Ghazal and originally total 9 verse was written by Miir in the Ghazal.



faqiraana aaye sadaa kar chale
miyaa.N Khush raho ham duaa kar chale

jo tujh bin na jiine ko kahate the ham
so is ahd ko ab wafaa kar chale

koii naa-ummiidaana karate nigaah
so tum ham se muu.Nh bhii chhipaa kar chale

bahot aarazuu thii galii kii terii
so yaa.N se lahu me.n nahaa kar chale

dikhaaii diye yuu.N ki beKhud kiyaa
hame.n aap se bhii judaa kar chale

jabii.n sajadaa karate hii karate gaii
haq-e-ba.ndagii ham adaa kar chale

parastish kii yaa.N taiin ki ayei but tujhe
nazar me.n sabo.n kii Khudaa kar chale

gaii umr dar ba.nd-e-fikr-e-Gazal
so is fan ko aisas ba.Daa kar chale

kahe.n kyaa jo puuchhe koii ham se Meer
jahaa.N me.n tum aaye the, kyaa kar chale

[ahad = promise; yaa.N = here; jabii.N = forehead;
haq-e-ba.ndagii = right/duty of servitude; parastish = servitude/worship;
ba.nd-e-fikr-e-Gazal = boundedness of worries of Ghazals;]


"pattaa pattaa, bootaa bootaa, haal humaaraa jaane hai" from movie "Ek Nazar(1972) sung by Lata Mangeshkar and M. Rafi, Written by Majrooh Sultanpuri. This song's opening verse is taken from ghazal of Mir



Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

[mutkabbar = arrogant; maghroor = proud; zian = loss, degradation, destruction;
charagari = treatment; tanz-o-kanaayaa=taunting, teasing; fitane=ordeals;
ramz-o-ishaaraa= suggestion and hint; betaab-o-tavaa.N = restless and weak;
Tashna = thrist; talkhi=bitter; tegh=sword; aab=brightness;]


A very famous quote from common man's daily life "aage aage dekhiye hota hai kya" is 2nd line of Opening verse of his ghazal



Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.

Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya.

[Ibtadaae = begining; Gaafil = unaware; sabz = green; tukham = seeds;
Gairat-e-yusuf = Yusuf's honour; Raayegaan = Waste;]

2 comments:

Kashyap said...

subhan allah...bahut achha likhte hai aap...mir ke baare me padh kar kaafi achha laga

Unknown said...

Acha laga parh ka