Sunday, March 23, 2008

PatThro......

Though not mine, but few lines that i like about PatThar(stone) ....

PatThro aaj mere sar pe baraste kyo.N ho,
kabhi tumko bhi maine apna khuda rakha hai
~Hakeem Naasir

Sochta hon ke woh kitne masoom thay,
kya se kya ho gaye dekhte dekhte
Mein ne patThar se jin ko banaya sanam,
woh khuda ho gaye dekhte dekhte !!

Jin patTharo ko humne ataa ki thi dhadkane,
vo bolne lage to hum hi par baras pade !!

Mere haato se taraashe hue patThar ke sanam,
mere hi saamne bhagwaan bane baithe hai !!

'Tulasi' duniya baawali patThar poojane jaaye
ghar ki chaaki koi naa pooje jiska piisa khaaye !!

vo dil banke dil me dhadakne lage hai

tab se sajda-o-ibaadat-o-bandagi aa gayi,
hum jab se mauj-e-ishq me utarne lage hai;
ab doosari koi hasarat baaki nahi dil me,
vo dil banke dil me dhadakne lage hai.

yoon to roj hi jaate the mae-kade ko hum,
aur baantate the yaaro se sharaab-o-gham;
magar aisi pila di tune aankho se saaqi,
bin piye hi aaj hum bahakne lage hai.

jo ruswaai me bazzar se laaye the kafan,
sochaa kiye kar lenge khud hi ko dafan;
ab teri nazar yoon mili hai meri nazar se,
jeene ke armaan fir machalane lage hai.

fir dil me teri yaadon ki baraat aayi,
fir mere beete dino ke saugaat laayi;
fir jigar khodne laga hai naakhoon,
fir mere saare zakhm mahakne lage hai.

ab aur khoon aansuo me bahaaya nahi jaata,
janaaza apane armaano ka uthaaya nahi jaata;
aa ke thaam le mujhe apani haseen baaho me,
saaqiya mere sab sapne bikharne lage hai.

jab se mujhe apane daaman me chhupa liya,
jab se mujhe husn ka deewana bana liya;
yoon gumaan hota hai dekh kar ahle zamaana,
go zamaane ke saare rang nikharne lage hai.

hazaaro baar tere vaade pe aitbaar kiya,
hazaaro shab maine tera intezaar kiya;
aur nahi khaayenge dhokha ahad-e-wafaa ka,
bahut thokare khaakar ab sambhalne lage hai.

jo bhi the vaade usane saare tod diye,
mere har fasaane me gairo k fasaane jod diye;
rah rah kar khayaal sataata hai dil ko,
mere mehboob ab kuchh kuchh badalne lage hai.

mere har yaar se ab ek faasla sa ban gaya,
jo koi bhi mere paas tha ab door nikal gaya;
kal tak jo mere saath chale har kadam par,
vo saaye bhi aaj humse bichhadne lage hai.

aarzoo-e-shaam bhi kab ki dhal gayi,
shab-e-wasl bhi yoon aadhi nikal gayi;
tab se aankho me dam ruka hai mera,
jab se vo sangdil sanwarne lage hai.

khauf-e-hashr-o-kufr dikhaaya karte the,
sawaab-e-taa'at-o-zuhad bataaya karte the;
ab rashq karta hai waaiz meri jaat par,
jo hum masjid ki galyon se gujarne lage hai.

haskar maine khizaao se nibaah kar liya,
khaatir usaki khud ko tabaah kar liya;
tamaam umr ak thandi aah ko paala maine,
magar ab dil me shole bhadakne lage hai.

zaahida chhod de tu har intihaa khuda pe,
aur likh de sharaab meri har ibtida pe;
aa baith mae-kade me do ghoont peele,
rut nasheeli hai aur jaam chhalkne lage hai.

pilaayengi zannat me hoore apane haatho se,
tab sharam aayegi tumhe apani hi baato se;
kya kahoge khuda se khilaafat-e-sharaab me,
dekh zamane me khuda bhi bigadne lage hai.

kali kali julfen aur aariz hai gulaabi,
zaamane me hui hai inhi se har kharaabi;
maine to sharaab pii thi sajde mein baith kar,
waaiz kyon mujhse jhagadne lage hai.

kais ne jaan luta di thi laila ki hansi par,
humne imaan rakh diya baada-kashi par;
anjaam ki soche itani fursat kise thi,
parwaane bhi shaama pe fadakne lage hai.

meri har baat uske liye ruswaayi ho gayi,
meri har nazar uske liye saudaai ho gayi;
gair to baharhaal gair the magar afsos,
ab to apne bhi 'jigar' ko parakhne lage hai.

jin paththro ko haatho se taraasha tha,
sajda-o-ibaadat se jinhe navaaja tha;
kabhi jinko hum apna khuda rakhte the,
vo hi aaj mere sar par barasne lage hai.

fir aaj kaasid teri khabar leke aaya hai,
fir aaj koi phool bagiya me muskuraya hai;
fir aaj aankho ko hai tere aane ki ummeed,
fir aaj aankho me jugnu chamkne lage hai.

jo kal tak bas khamosh raha karte the,
doosare logo ke kalaam padha karte the;
kahte the jo kal tak auro ki zubaan,
aaj khud ke nagme arz karne lage hai.

navaajish shukriya karam meharbaani,
nazar nazar se mila kar door ki pareshaani;
teri noor-e-nazar jo mujh par padi hai,
mere ghar me ujaale thithakne lage hai.

Mukhtsar si thi shab-e-visaal hi hogi

tere pehlu me jo guzri kamaal hi hogi
Mukhtsar si thi shab-e-visaal hi hogi

chaandani faili hai ya saaye hai teri yaad ke
is andheri raat me vo noor-e-jamaal hi hogi

Jawaab-e-muhabbat samjhe the jis nigaah ko
ab jo mujhse barham hui to sawaal hi hogi

ek aisi bhi hasrate abhi baaki hai dil me
jo khil naa paayegi bas paamaal hi hogi

kuchh tere aane ki khabar si mehki thi
tanhaai me socha soorat-e-khayaal hi hogi

kyon raas nahi aati ab haseeno ki mehfile.N
jo baat teri mehfil me thi bemissal hi hogi

ek khat aaya hai mere naam us bewafa ka
padhate hue darta huu ki gair kii chaal hi hogi

bahut aarzoo thi tujhe mehmaa.N banaane kii
ki vo hasarat-e-dil bhi ab badhaal hi hogi

ab ke saawan me aansoo bhi barse hai mere
ye baadal ye baarish to har saal hi hogi

wo karte rahe marne ki baatein......

Ek bhooli hui yaad dhoondhate rahe,
ek beeti hui baat dhoondhate rahe !!

tu bhi tha teri mehfil bhi thi,
fir bhi tera tasawwur dhoondhate rahe !!

aaine me bhi tu hi tu nazar aane laga,
hum der tak apna aks dhoondhte rahe !!

jab tu chala gaya mujhe chhoD kar,
hum mehfilo me tanhaai dhoodhte rahe !!

ek teri yaad thi jo dil se naa jaati thi,
aur hum apna saaya hi dhoondhate rahe !!

hazaar manjile baahe failaaye khadi thi,
magar hum teri rahguzar dhoondhate rahe !!

tang aa kar saraab-e-hasti se hum,
fir teri nigaah-e-khanjar dhoondhate rahe !!

in haatho ki lakeero me fir tera naam ho,
hum ku-ba-ku khuda dhoondhate rahe !!

wo karte rahe marne ki baatein,
hum jeene ke bhahane dhoondhte rahe !!

Ek Chhoti Si Koshish

Ek nishaa.N aur banaata chaluu.N is jagah par,
ki saare puraane waqt mita chuka hai;
mujhe bhoolane ki tujhe aadat si ho gayi,
magar ye tu pahle bhi jata chuka hai !!

Ek jazba hai muhabbat ka dil se jo mitata nahi.N,
tera tasawwur is kadar hai ki khayaal se hatata nahi.N
kuchh puraani tasweere jo maine ghar me.N sajaa rakhi hai.N
unhe dekh leta hoo.N jab kabhi din katata nahi.N
meri muhabbat lipati paDi hai jin chand khato.N me.N
vo fasaana gar khul jaaye to fir simatata nahi.N

naahaq gale ko taqleef naa do,hum dil ki bhi awaaz sunate hai.N
tumne ab tak sirf phool chune hai.N,hum palko.N se kaante chunte hai.N

zubaan-e-aam ki baat nahi hai, ye aashiko ka fasaana hai,
ye aankho se baate karte hai, shamma pe jalta parwaan hai

ab aur kya kahe, aur kya sune,
humne khud ke liye bas kaante chune;
gair kiya kare teri mehfil ki baat,
humne to bas tere sapne hi bune !!

aaj vo yoon chup chup khamosh se khade hain,
jaise maano tamaam raat khud hi se lade hain !!

der tak khaamoshi odhkar baithe rahe,
ki teri jafaaye kabhi to kam hongi;
kabhi is aas me sunaya gham-e-dil,
ki sang-dil teri aankhe bhi nam hogi !!

waqt to fir bhi mod laaunga me,tum agar kuchh kadam saath chalo
judaai ka ek pal bhi nahi gawara,tum haatho me daale haath chalo !!

bas ye baat achi hai ki aapko humari baat samajh main aa jaati hai
aur fir kahne ko kuchh nahi bachata, ki nazre sab samajh jaati hai !!

kuchh to hasti ka aasra ho,
ki habaab ki tarah pahchaan bani to kya bani !!

ajii apko chhod kar kaha jaayenge,raasta-o-manjil sab aap hi hai,
aap ko khokar na khud ko paaynge,ki mera wuzuud-o-fasaana aap hi hai !!

navaajish aapki, varna is khaaq-saar ko,itani meharbaaniya kisi ne na bakhshi
gham to bahut mile zamaane se magar,inaayat ki ek nazar kisi ne na bakhshi

aaj kuchh nahi bole vo pehlu me aake,shaam yoo hi khaamosh si nikal gayi,
Harf-e-sad-talab jubaan pe naa aaya,hasarat-e-dil mom ki maanind pighal gayi

vo tera naam tha jo labo tak aa naa saka,
Harf-e-sad-talab meri jubaan tak aa naa saka !!

aankhe hai kuchh aisi kaatilana, ki har koi qatl ho jaana chahta hai,
mae-kashi chhod kar rind bhi ab, teri aankho me doobna chahta hai !!

ilzaam kaun kambakht diya jaata hai,hume to door se rasta dikha diya jaata hai,
ye to masti hai mere junoon ki ab tak,dil tujhse hi muhabbat kiye jaata hai !!

muhabbat ka fasaana hai,jubaan se kaise samjhaau,
kabhi aake dekh mera dil,tujhe khat me kya bhijwaau !!

kuchh zamaane ke the gham,
kuchh teri muhabbat ke dam,
varna kaha se danaa the,
aur kaunse shaayar the hum !!

aankhe taras gayi tujhe dekhne ko,ki paagal hua hoon teri deewaangi me,
kabhi to ru-ba-ru hokar mujhse,kuchh to izaafa kar meri hairaangi me !!

fir se kho gayi tum apane khayaalo me,
ki ye bhi adaa dekhi hai maah-zamaalo me !!

kaun hai jo aapko pareshaankar raha hai,
khud apna janaaja taiyaar kar raha hai,
ek banda yaha tumhaare intezaar me,
din ko raat subah ko shaam akr raha hai !!

hayye ki vo kahte hai, aise hi kaam chalaa lo,
magar kambhakht is dil ko kaise sambhaalo
charagari abhi mseeha ke bas me nahi dil ki,
bas yoon ki kahte hai kuchh aur dawaa lo !!

Tumse baate karne ke bahaane talaashta rahta hu,
ki tuhje apne khayaalo me sawaarta rahta hu,
bahut dino se bas tere tasawwur ko lekar,
tanhaai me sara waqt gujaarta rahta huu !!

huzuur apane dil me jhaank kar dekho, meri tamnnaye bahar jhaank rahi hai
kabse tere pairon me mera dil pada hai, aur hasrate khaaq chhan rahi hai !!