Monday, April 14, 2008

Magar ye baat hamaare hi darmiyaaN rahe !!

muhabbat me bhi gumaan-e-sood-o-ziyaaN rahe
magar ye baat hamaare hi darmiyaaN rahe

naa ummeed naa roshani naa sukuun-e-zahan
din raat jaise bekhudi o giriyaaN rahe

ek justjuuN baaki hai abhi dil-e-nadaaN meN
mere khayaaloN me sadaa teri shokhiyaaN rahe

khuda mehfooz rahe tujhe har balaa se
yooN hii roshan chehre ki raanaaiyaaN rahe

chahiye jeene ki khaatir do waqt ki roti
badan pe cheer aur ek aashiyaaN rahe

sajda karo to kaayade aur adab se
yooN naa ho dil meN sirf khaufe isiyaaN rahe

juda naa ho yaar kabhi na beete ye jawaani
junooN rahe hauNsla rahe ye mastiyaaN rahe

Jaise do peDoN ke bhali tarah badhane ko
hawa dhoop ki khaatir kuchh dooriyaaN rahe

Vaise hi har rishte ke theek se chalne ko
laazami hai kuchh kam nazadiikiyaaN rahe

Naa bahlaao jiya ko meethi meethi baatoN se
aayega mazaa jo baatoN me talkhiyaaN rahe

Jaise kaDavi sharaab vaise kaDavaa sach
meethe meethe sapne sirf kahaaniyaaN rahe

naa me bhalaa hua kabhi na hona chaahtaa hooN
khuda kare sadaa mujhmeN kharaabiyaaN rahe

dil meN gooNjate der talak sannaate
aankhoN meN bolati hu'i sii khaamoshiyaaN rahe

1 comment:

Kabeer said...

Shudhh sona kyu banaya prabhu mujhe tumne,
Kuchh milawaT chahiye galhaar hone ke liye....