Tuesday, May 13, 2008

The God and Thy-Self, Khuda Aur Khudi

Na Tu Zameen Ke Liyeh Hai Na Aasman Ke Liyeh,
Jahan Hai Tere Liyeh, Tu Nahi Jahan Ke Liyeh
You are neither for the earth nor for the sky,
This world is for you, you are not for the world.

hakeemi ney Musalmaani Khudi Ki.

Kaleemi Ramz-e-Pinhaani Khudi Ki.
intelligence is believing Thy-self.
Talking with(or about) God is an embodiment of secrets of self.
Tujhe Gur Fakr O Shahi Ka Bata Doon,
Ghareebi Mein Nigehbani Khudhi Ki
Let me tell you the trick of being proud and royal,
in poverty, protection of self-hood.

Khudhi Ko Ker Buland Itna Ke Her Taqdeer Se Pehle,
Khudaa Bande Se Khud Poochhe Bataa Teri Razaa Kya Hai
Make self-hood so great, that, before every fate,G
God himself asks the man, "tell [me], what is thy wish?"

Yeh Hikmat E Malkooti Yeh Ilm E Laa-Hoti

Haram Ke Dard Ka Darmaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
this intelligence like angles, this knowledge of islam, (acceptence of one God)
if it can not cure the pain of human being, than it's nothing.
Yeh Zikr E Neem Shabi ye muraakbe ye suroor
Teri Khudhi Ke Nigehbaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
these prayers of mid-night, those religious things,
if they can not protect thy self-hood, than it's nothing.
Khirad Ne Keh Bhi Diya La Ilah To Kya Haasil
Dil-O-Nigaah Musalmaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
even if the intelligence had accepted the one true existence, than what gain?
if heart and eyes has not accepted it, than it's nothing.

Zindagani Hai Sadaf qatra-e-nesaaN Hai Khudhi,
Woh Sadaf Kya Ke Jo Qatre Ko Gohar Ker Na Sakay.
Life is like a oyster, and self-hood is like a drop of rain,
what use of the oyster, if it can't turn the drop into pearl.
Ho Agar Khudnigar O Khudgar O Khudgeer Khudi,
Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mar Na Sakay.
If the self-hood is self-observant and self-building and self-ruling,
it is also possible that you won't die even in death.

Phir Charagh E Lala Se Roshan Hoay Koh-o-Taman.
Mujh Ko Phir Naghmon Pe Uksanay Laga Murg E Chaman.
Again, candles and tulips has lit hills and 'Taman'.
again, the bird of garden is provoking me with it's songs.
Apne Man Mein Doob Ker Pajaa Suragh E Zindagi.
Tu Agar Mera Nahi Banta, Na Ban,Apna To Ban
by drowning in self-heart, find the clue of life.
if you don't want to be mine, than don't be, be thy self's.
Mua Ki Dunya Mun Ki Dunya Soz O Masti Jazb O Shouq.
Tan Ki Dunya Tun Ki Dunya Sood O Sauda Makr O Fun.
World of heart is realm of soul, with passion, intoxication, sentiments, Zeal.
World of body is materialistic, with profit, trade, Illusion, skill
Man Ki Doulat Haath Aati Hai To Phir Jaati Nahi.
Tan Ki Daulat Chaaon Hai Aata Hai Dhan Jata Hai Dhan.
treasure of soul, once in your hand, never goes away.
materialistic wealth, is like shade, impermanent.
Man Ki Dunya Mein Na Paya Mein Ne Afrangi Ka Raaj.
Man Ki Dunya Mein Na Dekhe Mein Ne Shaikh O Brahman
In the realm of heart, there ain't a division of skin-color.
In the realm of heart, there ain't a division of religion.
Paani Paani Ker Gayi Mujh Ko Qalandar Ki Yeh Baat,
"Tu Jhuka Jab Ghair Ke Agay Na Mun Tera Na Tan."
These words of the dervish made me ashamed,
"when you bowed before others, neither soul nor body remain yours."

Ki Haqq se farishton ne Iqbal ki ghammaazi
"gustaakh hai karta hai fitrat ki hinabandi
by truth, angels complained of 'Iqbal', that
"he is mischievous to question against nature.
khaki hai magar iske andaaz hai aflaki.
rumi hai na shaami hai kaashi na samarkandi.
This creation of clay is of heavenly nature.
He is neither rumi, nor shams, nor kaashi, nor samarkandi.
sikhlaayi farishton ko aadam ki tarap isne.
aadam ko sikhaata hai aadaab-e-Khuda'wandi"
He taught the angels the suffering of Man.
And teaches Man the Manners of angels."

gaafil na ho khudii se kar apani paasbaani
shaayad kisi haram ka tuu bhii hai aastaana
Do not nerglect self-hood, Be your own Sentinel.
Perhaps you are also abodes of some sacred place.
terii nigaah se dil seenoN me kaanpte the
khoyaa gayaa hai teraa jazb-e-qalandaraana
From your sight, hearts used to be trembled in chest.
Your style of dervish is lost.
e laa-ilaah ke vaaris baakii nahii hai tujhme
gufaataar-e-dilbaraana kiradaar-e-kaahiraana
hey! master of Islam, You lack of...
lovely conversation and honest character.
ye bandagi kadaayi vo bandagi Khudaayi
yaa bandaa-e-Khuda ban yaa bandaa-e-zamaanaa
This servitude is vain, that servitude is divine,
Be either servant of God or servant of world.

3 comments:

Sucharit said...

Was looking for this. Thanks a lot for posting this!

Xcogitation said...

khudnigar - self observant

khudgar - self-building

khudgir- self-ruling

Gaurav said...

Thanks Xcogiation, I shall include that in translation.