Tuesday, May 13, 2008

Aur bhi haiN...

sitaaroN se aage jahaaN aur bhii haiN
abhii ishq ke imtihaaN aur bhii haiN
Beyond the stars, there are other worlds too.
Still, more trials of love are yet to come.


tihii zindagii se nahiiN ye fazaayeN
yahaaN saikaDoN kaaravaaN aur bhii haiN
These environments are not from this empty life,
Here are hundred of other caravans too.


kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaaN aur bhii haiN
Don’t be satisfied with this fragrance and color of life
or Don't be contended with color and scent of this world.
There are other gardens, other nests too.


agar kho gayaa ek nasheman to kyaa gham
maqaamaat-e-aah-o-fugaaN aur bhii haiN
if One nest was lost, what's the [cause of] grief?
There are other places (or opportunities) for sighing and lamenting.


tuu shahiiN hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaaN aur bhii haiN
You are a falcon, flying is your job,
In front of you, there are yet more skies [to fly].


isii roz-o-shab meN ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaaN aur bhii haiN
Do not remain tangled in this day and night (mundane of this life
For you have other places and destinations too.


gae din kii tanhaa thaa maiN aNjuman meN
yahaaN ab mere raazadaaN aur bhii haiN
Gone are those days when I was lonely in gatherings
Here, now, I have other confidants too.

No comments: