Tuesday, April 22, 2008

Namaazi mein, Sharaabi mein

kabhi na bhool sakuNga shab-e-firaaq wo meiN
sharaab peene se yaadeN sadaa jawaan rahe!

namaaz pehle to do ghoNT pii hi lene do
ye be-Khudii hi ibaadat meiN jaise jaan rahe!

namaaz baad dobaara do ghoNT pii hii lii,
ya Khuda! baad-e-ibaadat bhi kuch to dhyaan rahe!

mirii namaaz thi bas chaar ghoNT botal ke
magar ye baat humaare hi darmiyaan rahe!

ki choor choor ho ab yooN sharaab ke nashe meN,
kadam jameeN pe ho na sar pe aasmaan rahe !!

ye utaregii na khumari kabhi merii jaana,
utar gayii jo 'rja' mujhme fir na jaan rahe !!

----
PS: Thanks to Imran for meter correction in this piece of GHAZAL, finally i can call it a Ghazal, though matla is still missing, but radif, kaafiya, maqta and behar(except the 1st line of 2nd last verse) are there.

1 comment:

Kabeer said...

Kahan maikhaane ka darwaja Ghalib, aur kahan jahid,
Par itana jaante hain, kal wo jaata tha ki ham likle...... :-)