Sunday, March 23, 2008

Mukhtsar si thi shab-e-visaal hi hogi

tere pehlu me jo guzri kamaal hi hogi
Mukhtsar si thi shab-e-visaal hi hogi

chaandani faili hai ya saaye hai teri yaad ke
is andheri raat me vo noor-e-jamaal hi hogi

Jawaab-e-muhabbat samjhe the jis nigaah ko
ab jo mujhse barham hui to sawaal hi hogi

ek aisi bhi hasrate abhi baaki hai dil me
jo khil naa paayegi bas paamaal hi hogi

kuchh tere aane ki khabar si mehki thi
tanhaai me socha soorat-e-khayaal hi hogi

kyon raas nahi aati ab haseeno ki mehfile.N
jo baat teri mehfil me thi bemissal hi hogi

ek khat aaya hai mere naam us bewafa ka
padhate hue darta huu ki gair kii chaal hi hogi

bahut aarzoo thi tujhe mehmaa.N banaane kii
ki vo hasarat-e-dil bhi ab badhaal hi hogi

ab ke saawan me aansoo bhi barse hai mere
ye baadal ye baarish to har saal hi hogi

No comments: