Sunday, March 23, 2008

Ek Chhoti Si Koshish

Ek nishaa.N aur banaata chaluu.N is jagah par,
ki saare puraane waqt mita chuka hai;
mujhe bhoolane ki tujhe aadat si ho gayi,
magar ye tu pahle bhi jata chuka hai !!

Ek jazba hai muhabbat ka dil se jo mitata nahi.N,
tera tasawwur is kadar hai ki khayaal se hatata nahi.N
kuchh puraani tasweere jo maine ghar me.N sajaa rakhi hai.N
unhe dekh leta hoo.N jab kabhi din katata nahi.N
meri muhabbat lipati paDi hai jin chand khato.N me.N
vo fasaana gar khul jaaye to fir simatata nahi.N

naahaq gale ko taqleef naa do,hum dil ki bhi awaaz sunate hai.N
tumne ab tak sirf phool chune hai.N,hum palko.N se kaante chunte hai.N

zubaan-e-aam ki baat nahi hai, ye aashiko ka fasaana hai,
ye aankho se baate karte hai, shamma pe jalta parwaan hai

ab aur kya kahe, aur kya sune,
humne khud ke liye bas kaante chune;
gair kiya kare teri mehfil ki baat,
humne to bas tere sapne hi bune !!

aaj vo yoon chup chup khamosh se khade hain,
jaise maano tamaam raat khud hi se lade hain !!

der tak khaamoshi odhkar baithe rahe,
ki teri jafaaye kabhi to kam hongi;
kabhi is aas me sunaya gham-e-dil,
ki sang-dil teri aankhe bhi nam hogi !!

waqt to fir bhi mod laaunga me,tum agar kuchh kadam saath chalo
judaai ka ek pal bhi nahi gawara,tum haatho me daale haath chalo !!

bas ye baat achi hai ki aapko humari baat samajh main aa jaati hai
aur fir kahne ko kuchh nahi bachata, ki nazre sab samajh jaati hai !!

kuchh to hasti ka aasra ho,
ki habaab ki tarah pahchaan bani to kya bani !!

ajii apko chhod kar kaha jaayenge,raasta-o-manjil sab aap hi hai,
aap ko khokar na khud ko paaynge,ki mera wuzuud-o-fasaana aap hi hai !!

navaajish aapki, varna is khaaq-saar ko,itani meharbaaniya kisi ne na bakhshi
gham to bahut mile zamaane se magar,inaayat ki ek nazar kisi ne na bakhshi

aaj kuchh nahi bole vo pehlu me aake,shaam yoo hi khaamosh si nikal gayi,
Harf-e-sad-talab jubaan pe naa aaya,hasarat-e-dil mom ki maanind pighal gayi

vo tera naam tha jo labo tak aa naa saka,
Harf-e-sad-talab meri jubaan tak aa naa saka !!

aankhe hai kuchh aisi kaatilana, ki har koi qatl ho jaana chahta hai,
mae-kashi chhod kar rind bhi ab, teri aankho me doobna chahta hai !!

ilzaam kaun kambakht diya jaata hai,hume to door se rasta dikha diya jaata hai,
ye to masti hai mere junoon ki ab tak,dil tujhse hi muhabbat kiye jaata hai !!

muhabbat ka fasaana hai,jubaan se kaise samjhaau,
kabhi aake dekh mera dil,tujhe khat me kya bhijwaau !!

kuchh zamaane ke the gham,
kuchh teri muhabbat ke dam,
varna kaha se danaa the,
aur kaunse shaayar the hum !!

aankhe taras gayi tujhe dekhne ko,ki paagal hua hoon teri deewaangi me,
kabhi to ru-ba-ru hokar mujhse,kuchh to izaafa kar meri hairaangi me !!

fir se kho gayi tum apane khayaalo me,
ki ye bhi adaa dekhi hai maah-zamaalo me !!

kaun hai jo aapko pareshaankar raha hai,
khud apna janaaja taiyaar kar raha hai,
ek banda yaha tumhaare intezaar me,
din ko raat subah ko shaam akr raha hai !!

hayye ki vo kahte hai, aise hi kaam chalaa lo,
magar kambhakht is dil ko kaise sambhaalo
charagari abhi mseeha ke bas me nahi dil ki,
bas yoon ki kahte hai kuchh aur dawaa lo !!

Tumse baate karne ke bahaane talaashta rahta hu,
ki tuhje apne khayaalo me sawaarta rahta hu,
bahut dino se bas tere tasawwur ko lekar,
tanhaai me sara waqt gujaarta rahta huu !!

huzuur apane dil me jhaank kar dekho, meri tamnnaye bahar jhaank rahi hai
kabse tere pairon me mera dil pada hai, aur hasrate khaaq chhan rahi hai !!

1 comment:

Kuldeep & Sagar said...

wonderful gaurav!

liked ur creations.


Kuldeep jain
BIMTECH,New Delhi