Thursday, July 17, 2008

kab mera nasheman ahal-e-chaman

A veru beautiful ghazal, sung by 'Munni Begum' and written by 'Qamar Jalalvi'

kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan me.N gawaara karte hai.N
ghunChe apni aawaazo.N me.N bijli ko pukaara karte hai.N

po.NCho na araq rukhsaaro.N se rangeeni-e-husn ko badhne do
sunte hai.N k shabnam ke qatre phoolo.N ko nikhaara karte hai.N

jaati hui mayyat dekh ke bhi allah tum uth kar aa naa sake
do chaar qadam to dushman bhi takleef gawaara karte hai.N

ab naza ka aalam hai mujh per tum apni mohabbat waapas lo
jab kashti doobne lagti hai to bojh utaara karte hai.N

taaro.N ki bahaaro.N me.N bhi 'qamar' tum afsurda se rahte ho
phoolo.N ko to dekho kaa.Nto.N me.N ha.Ns ha.Ns ke guzaara karte hai.N


nasheman = Nest
ahal-e-chaman = Residents Of The Garden
gawaara = Bearable, Tolerable
gunche = Flower buds
araq = Juice
rukhsaar = Cheek
shabnam = Dew
naza = Last Breath
afsurda = Depressed, Lifeless, Melancholy, Rueful